Abhijeet

Jis desh mein ganga rehta hai

Abhijeet
Bhabhi kangan khankaati hai aur maa loriyaan gaati hai
Madham madham si pawan chale, koyaliya geet sunaati hai
Bachaa vaha aaj bhi chaand ko chanda mama kehta hai

Gaaon ka panghat, panghatka paani
Bhare gagariya koi deewani
Thandi thandi purwaayi mein meethi meethi khushboo
Mat poocho us khushboo mein hota hai kaisa jadoo
Jadoo aisa hota hai ke har koi jhoomta rehta hai
Jis desh mein

Ganga rehta hai
Jis desh mein ganga rehta hai

Bhabhi kangan khankaati hai aur maa loriyaan gaati hai
Madham madham si pawan chale, koyaliya geet sunaati hai

Dil mein basaakar gaaon ki mamta
Shaher mein aaya main jogi ramta
Dil mein basaakar gaaon ki mamta
Shaher mein aaya main jogi ramta
Sukh dukh saare maan kar aur unko apna kar
Tarah tarah ke naaton se ghar ban jaata hai soondar
Pal pal sachche rishton ka vahan pyaar barasta rehta hai
Jis desh mein ganga rehta hai
Jis desh mein ganga rehta hai
Bhabhi kangan khankaati hai aur maa loriyaan gaati hai
Madham madham si pawan chale, koyaliya geet sunaati hai
Bachaa vaha aaj bhi chaand ko chanda mama kehta hai
Jis desh mein ganga rehta hai

Encontrou algum erro na letra? Por favor envie uma correção clicando aqui!