Yeh to sach hai ki bhagwan hai
HariharanHai Magar Phir Bhi Anjaan Hai,
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka,
Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai...
Janmdaata Hai Jo, Naam Jinse Mila,
Thamkar Jinki Ungli Hai Bachpan Chala,
Kaandhe Par Baithke, Jinke Dekha Jahaan,
Gyan Jinse Mila, Kya Bura Kya Bhala,
Itne Upkaar Hain Kya Kahen,
Yeh Bataana Na Aasaan Hai,
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka,
Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai...
Janam Deti Hai Jo, Maa Jise Jag Kahe,
Apni Santaan Mein, Pran Jiske Rahe,
Loriyan Hothon Par, Sapne Bunti Nazar,
Neend Jo Vaar De, Hanske Har Dukh Sahe,
Mamta Ke Roop Mein Hai Prabhu,
Aapse Paaya Vardaan Hai,
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka,
Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai...
Aapke Khwab Hum, Aaj Hokar Jawaan,
Us Param Shakti Se Karte Hain Prarthna,
Unki Chhaya Rahe, Rehti Duniya Talak,
Ek Pal Reh Sake Hum Na Jinke Bina,
Aap Dono Salaamat Rahe,
Sabke Dil Mein Yeh Armaan Hai,
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka,
Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai,
Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai...
Mais ouvidas de Hariharan
ver todas as músicas- Kuch Saal Pehle
- Chilman Uthegi Nahin
- Kuch tum kaho kuch hum kahe
- Apni Zulfein Mere Shano
- Chappa chappa charkha chale
- Sadiyaan Sama
- Main Sochoon Yeh Kaise
- Judaai Judaai
- Roja Roja
- Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
- Subah ki dhoop si
- Kuchh Der Tak
- O Hansini
- Pahle Bhi Jeete The Magar
- Chanda Re Chanda Re
- Kutch Mere Dil Ne Kaha
- Phoolon Mein Khushboo Hai
- Lee Humne Thi Kasam
- Tu Har Ghadi
- Chhod Aaye Hum Vo Galiyaan