Udit narayan

Aa kahi dur chale haye hum

Udit narayan
aa kahi duur chale jaaye ham
duur itnaa ki hamein chhuu na sake koi Gam
aa kahi duur ...

phuulon aur kaliyon se mehake hue ik jungal mein
ik hasin jheel ke saahil pe hamara ghar ho
os mein bheegi hui ghaas pe ham chalte ho
rang aur nuur mein duubaa hua har manzar ho
main tujhe pyaar karu mere sanam
tu mujhe pyar kare mere sanam
aa kahi duur ...

aa aa
shaam kaa rang ho gaharaa to sitaare jaage
raat jo aaye to resham se andhere laaye
chaand jab jheel ke paani mein nahaane utare
meri baahon mein tujhe dekh ke sharamaa jaaye
main tujhe pyaar karu mere sanam
tu mujhe pyaar kare mere sanam
aa kahi duur...

Encontrou algum erro na letra? Por favor envie uma correção clicando aqui!