Main bhool jaaoon tumhen
Jagjit singh
main bhool jaaooN tumhen -2, ab yahi munaasib hai
main bhool jaaooN tumhen, ab yahi munaasib hai
magar bhulaanaa bhi chaahooN to kis tarah bhoolooN -2
ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khvaab nahin
yahaaN to dil kaa ye aalam hai kyaa kahooN, kambaKt
bhulaa sakaa naa ye vo silsilaa jo thaa bhi nahin -2
vo ek Khyaal jo aavaaz tak gayaa hi nahin
vo ek baat jo main kah nahin sakaa tumse
vo ek rabt jo ham mein kabhi rahaa hi nahin
mujhe hai yaad vo sab jo kabhi huaa hi nahin
agar ye haal hai dil kaa to koi samjhaaye -2
tumhen bhulaanaa bhi chaahooN to kis tarah bhoolooN
ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khvaab nahin -3

Encontrou algum erro na letra? Por favor envie uma correção clicando aqui!
Mais ouvidas de Jagjit singh
ver todas as músicas- Koi yeh kaise bataye ke
- Dekh lo aawaaj de kar
- Pyar Ka Pehla Khat Likhne Mein
- Abhi Woh Kamsin
- Koyi Fariyaad Tere Dil main
- Sach ye hai bekaar hamen
- Hosh Walon Ko Khabar Kya
- Kahin Kahin Se Har Chehra
- Chithhi na koyi sandesh
- Haath Chhute Bhi To Rishtey Nahi Choda Karte
- Apne Hathon Ki Lakeeron
- Mujhko yaqin hai sach kahti thi
- Patthar Hai Khudaa
- Garaj Baras
- Apni Marzi Se Kahan
- Tumko dekhaa to ye kayaal aayaa
- Honton Se Chhoo Lo Tum
- Mere Jaise Ban Jaaoge
- Badi naazuk hai ye manzila
- Sunte hain ke mil jaati hai